Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu Farmate Hai

Hazrat Ali ra Hadith
      • Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu Se kisi ne pucha, Ya Ali apki zindagi mein koi aisi hasrat jo rehgayi ho, tab Hazrath Ali Allah Tala Anhu ne farmaya: Do hasrate rehgyi, 1) jitna mujhe Ilm tha utna kisi ne pucha nahi aur dusra jitna mai sakhi tha utna kisi ne manga nahi.
      • Aap ne farmaya zindagi ke teen sunhre usool hamesha yaad rakho
      • 1) ek ye, usse zarur maafi mango jise tum chate ho
        2) Dusra, Usse mat chodo jo tumhe chata hai
        3) aur teesra ye ke, Usse kuch na chupao jispe tum aitebaar karte ho
      • Aap ne farmaya dost se sambhal ke dosti karo hosakta wo kisi din tumhra dushman banjaye, aur dushman se sambhal ke dushmani karo hosakta hai wo kal tumhara dost banjaye
      • Zuban ka wazan bahot hi halka hota magar bahot kam log isko sambhal paate hai
    • Aap ne farmaya Jism ek dukaan hai aur zuban iska tala, jab tala khulta hai tab malum hota hai ki dukaan sone ki hai ya lohe ki
    • Zindagi tez hawaon ki manibh hai jisne iski andhiyan bardash karli wo kabhi gam ki ghata nahi dekhta, sar sabjo shadab bag dekhta hai

      Image result for Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu Farmate Hai

    • Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu Se kisi ne pucha, ke kaise pata chalega ke jo pareshani ya musibat ham par aayi hai wo Allah ke taraf se aazmaiysh hai ya ham par Allah ke tarf se saza hai, Aap ne jawab diya jo musibat tujhe Allah ki taraf lejaye wo aazmaiysh hai aur jo musibat tujhe Allah se dur karde wo saza hai.

    • Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu ke paas ek yahudi aaya aur kaha maine suna hai ke aap musalman jab ibadat karte hai to waswase aur khayalat aate hai jab ke ham ibadat karte hai to hame nahi aate hai, Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu ne jawab mein farmaya agar ek ghar fakir ka ho aur ek ghar ameer ka ho to chor kahan jaye ga ? yahudi ne kaha ameer ke ghar mein. Hazrath Ali ne farmaya tabhi to shaitan unko satata hai jin ke dil mein Allah ho, jin ke dil mein Allah ki mohabbat nahi hoti wahan shaitan ka kya kaam.
    • Aap ne farmaya jab tumhari jaan ko khatra ho to sadqa de kar jaan bachao, aur jab tumhare deen ko khatra ho to jaan dekar deen bachao
  • Aap ne farmaya zindagi do din ki hai ek tumhare haq mein aur dusra tumhare mukhalif, jis din tumhare haq mein ho us din garoor mat karna aur jis din tumhari mukalif ho us din sabar karna.
  • kisi ki madad karte waqt uske chere ki taraf mat dekho ho sakta hai uski sharminda aakhien tumhare dil mein garur ka beej bo de
  • hadees
  • Teen cheezien Imaan ko tabah kardeti hai
    1) Ameeron ki mehfil
    2) Aurton ki sohbat
    3) Jahil se behez
  • Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu ne farmaya, janwar mein khawish aur farishte mein aqal hoti hai magar insaan mein Allah paak ne dono rakhi hai agar wo aqal dabale to janwar aur agar khawish ko dable to farishte ke manib hojata hai.
  • Aap ne farmaya apne jism ko zarurat se zayada mat sawaro usse to mitti miljana hai, sawarna hai to apni ruh ko sawaro q ke usse Rab ke paas laut kar jana hai.
  • Momin ki misaal tarazoo ki padle jaisi hai, jis kadar uske iman mein izafa hota hai utni hi uski aazmaish badti hai.
  • Aap ne farmaya ache log ki ye khubi hoti hai ke unhe yaad rakhna nahi padta wo yaad hi rehte hai
  • Aap ne farmaya Rizak ke peeche apna imaan mat kharab karo q ke rizak insan ko aise talash karta hai jaise marne wale ko maut
  • Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu ne farmaya rishte khoon ke nahi ehaas ke hote hai agar ehsaas ho to ajnabee bhi apne hojate agar ehsaas na ho to apne bhi ajnabee hojate hai
  • Ek martaba khassab awaaz laga raha tha taza ghosht hai lelo wahan se Hazrath Ali ka guzar hua, khassab ne apse kaha taza ghosht hai lejaye Hazrath Ali ne farmaya aaj meri jaeb ijazat nahi deti khassab bola mai apse udhaar karsakta hu, isse aapne ek bahot hikm se tabrez jumla irhsad farmarya, apne farmya ye udhaar mai apne pet se q na karlu jisko mai jannat mein isse behtar giza khilasakta hu.

    Golden Words of Hazrath Ali Razi Allah Tala Anhu

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *