Hazrath Ali razi Allahu ta’ala anhu farmate hain

Hazrath Ali raziAllahu ta’ala anhu farmate hain
  • Hazrath Ali raziAllahu ta’ala anhu farmate hain :Khuda ki qasam! HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi wa sallam se hame apne maal, aulaad aur walidain se bhi ziyada muhabbat hai,Koi pyasa jitna thande paani ko chahta hai is se bhi badhkar hum Aap sallallahu alaihi wa sallam ko chahte hain.’

    (Al Shifa, 2/568,Muwahib Ladunya, 6/290)

  • koi musalman kisi muslaman ko kamtar na jane kyun ke Musalman ALLAH ke nazdeek badi shaan wala hai.(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)
  • Har wo kaam acha hai jo aakhirat ki bhalayi ke liye kiya jaye.(Hazrath Usman e ghani raziallahu taala anhu)forgiving hadith
  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Qayamat ke din Mere sab se zyada qareeb wo honge jo kasrat se mujh par Durood o Salaam pesh karte hai.(Jame Tirmizi,Hadith No:486)
  • Quresh ke paas jab sakht qahet saali hoti to Hazrath ABDUL MUTALLIB (raziallahu taala anhu) ka haath pakd kar saibar pahadi ki taraf lejate aur aap ke wasile se ALLAH TAALA ke darbar me arz karte, aur barish ke liye Dua karte to ALLAH TAALA HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ke Noor e Mubarak ki Barkat se Un par Barish Nazil farmata aur unhe Mukammal tour par Sairaab farmadeta.(Al Mawahib Ul Ladunniya,vol:1.pg:155)Ahle Sunnat
  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak Main Dekhta ho jo tum nahi dekhte aur Main sunta ho jo tum nahi sunte.(Mishkaat,pg:457)
  • Ek dusre ke kaam aana sab se badi neki hai.(Hazrath Khawaja Abdul wahed bin zaid rahmatullah alaih)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *