- Hazrath ALI raziallahu taala anhu Ne farmaya:Mujhe 3 chezen mahboob hain
1) Mehmaan ki qidmat karna
2) Mousam e garma me roze rakhna
3) Dushman par talwar chalana
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALI (raziallahu taala anhu ) ka zikr karna bhi Ibadat hai.
(Dailami,hadith no:1351)
- Jis shaqs ko Gussa ziyada aata hai,
wo shaqs pyaar bhi utna hi karta hai,
aur utni hi saaf Dil rakhta hai!!Hazrath Ali (Raziallahu Ta’la anhu) - HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Koi Munafiq Hazrath Ali (raziallahu taala anhu ) se Mohabbat nahi karsakta aur koi Momin Aap se Bugz nahi rakh sakta.
(Jame Tirmizi,hadith no:3717)
- Hazrath Abdullah bin Umar Raziallahu taala anhuma ne farmaya :HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Ramzan ke Aakhri Ashre me Etekaaf farmate.
(Sunan e Ibne Majah , Hadith no :1773)
- Jis shakhs ne is mahine me nafil amal kiya wo us shakhs ki tarah hai jis ne dusre mahine me farz adaa kiya.(Shubul Imaan,Hadith no:3608)