- Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain:Meri walida mujh ko HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e Aqdas me lakar hazir hui, aur arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Ye Anas mera beta hai, Main aapke paas isko Aapki qidmat ke liye laayi ho, Aap ALLAH TAALA se iske liye Dua farmaye:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
Aye ALLAH iske maal aur Aoulaad ko zyada farmade!
Hazrath Anas raziallahu taala anhu bayan karte hain:
ALLAH ki Qasam! Mera maal bahut zyada hai, aur aaj meri aoulaad aur aoulaad ki Aoulaad 100 ke qareeb hai.
(Sahih Muslim,pg:298)
- Hazrath Khaja Ghareeb Nawaaz Rahmatullah alaih Fara’ez wo Sunan ko adaa karne ki takeed karte hue farmaya:Rozana ek farishta pukaar kar kehta hai :
Jo shakhs khuda ka fariza adaa nahi karta wo ALLAH TAALA ki Baqsish se dur hojata hai,
Dusra Farishta kehta hai:
Jo RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ki Sunnat e Mubaraka ko tark karta hai wo Aapki Shafa’at se Mahroom hojata hai.
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA irshaad farmata hai:
Jo log meri Azmat aur jalaal ki wajeh se Apas me Mohabbat rakhte hain,
Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke member honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi rashk karenge.
(Jame Tirmizi,Hadith no:2390)
- Gussa zabt karne se kahi zyada behtar hai ke maaf kardiya jaye.(Hazrath Nizam Uddin Awliya rahmatullah alaih)
- Sab se bade martabe wala wo shakhs hai jo zyada tar qusoor maaf kiya karta hai.(Hazrath Qatada Raziallahu Taala Anhu)
- wo zuban kitni pakiza hai jo ALLAH TAALA ke zikar me rehti hai,wo dil kitna pur Noor hai jo HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki mohabbat me sarshaar rehta hai.