- Ummul mominen hazrath Ayesha siddiqa raziallahu taala anha farmati hain:
Mujhe Duniya me ye 3 cheezen pasand hain:
1) ALLAH TAALA ke Fazal par pura bharosa karna,
2) Maqlooq se parhez karna,
3) jo kuch ALLAH TAALA ne diya hai is par raazi rehna… - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Mere parwardigaar ne Mujh se wada farmaya ke Meri Ummat ke 70 hazaar Afraad ko bagair Hisaab o Kitaab aur bagair Azaab ke Jannat me dakhil farmayega,
Aur har Hazaar ke saath 70 Hazaar logaon ko JANNAT me dakhil farmayega aur QUDRAT ke paso’aou se 3 pasoo logaon ko jannat me dakhil farmayega.
(Jame Tirmizi,Hadith No:2624)
Note: ALLAH TAALA ne apne Mahboob aur khaas bandon ke liye khuskhabri sunayi ke wo bagair hisaab o kitaab ke jannat me dakhil hunge aur unki nisbat se digar Imaan walou par iski barkat zaher hogi…
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Beshak ALLAH TAALA ke bandou me se kuch aise hain na wo ambiya hain aur na wo Shuhada , baroz qayamat ALLAH TAALA ke paas unke maqaam wo martabe ki wajeh se Ambiya wo shuhada unki tareef karenge.
Sahaba ekraam raziallahuanhum ne arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam wo kaun Hazraath hain?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
wo log sirf ALLAH ki RAHMATH o inayat ki wajeh se apas me Mohabbat rakhte hain, na to apasi rishtedari ki wajeh se aur na maali leen deen ki wajeh se !
ALLAH KI QASAM !Yaqinan unke chehre had darje noorani honge aur wo noor (ke memberou) par hunge, jab log dar rahe honge,unhe koi khouf na hoga, jab log ghamzada honge, ye ghamgeen na honge,
aur HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne ye Aayat e Karima Tilawat farmayi:
Yaqinan ALLAH ke doston par na koi khauf hai aur na wo ghamzada honge.
(Sunan e Abu Dawood,Hadith No:3528)