Hazrath Halima Raziallahu taala anha farmati hain:
Jab HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ko apne paas laaye hame kabhi chiragh ki zarorat hi pesh nahi aayi,
Kyun ke AAPKE Mubarak chehre ka NOOR chiragh ki roushni se zyada Roushan wo Munawwar hai,
Agar kisi dusre maqaam par kabhi hame chiragh ki zarorat pesh aati to hum AAPKO us maqaam par lejate,
AAPKI BARAKAT se usi waqt daro diwaar aur makanaat Roushan hojate.
(Tafser e Mazhari,vol:6,pg:514)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Juma ke roz mujh par kasrat se Durood padha karo, behsak juma ka din youm e mashood hai, kyun ke isme farishte hazir hote hai jo shakhs mujh par Durood padhe uski aawaz mujh tak phunchti hai kha wo kisi bhi jagah padhe….
(Al Qawl ul Badee,pg:158) - NABI E KAREEM ne irshaad farmaya: Qiyaamat ke din sab se zyaada mujh se qareeb wo shakhs hoga jo kasrat se mujh par Durood padhta ho..
Related Link :
Ummat-e-Nabi
Rasool allah ki nazar me
Rajjab ul Murajjab ke Fazail