- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Haj me sar mundwane walou aur Baal Katarne walou ke liye Dua e Maghfirat farmayi hai.(Sahih Bukhari)
- Kisi musalmaan par koi musibat aaye to jo usku tasal’li de aur sabar ka dilasa de to us tasal’li dene wale ko bhi utna hi ajar(sawaab) milega jitna ke musibatzada ko milta hai.(Jame Tarmizi,vol:1,pg no:127)
- Jo shakhs apne upar Nek niyyati ka darwaza kholta hai, ALLAH TAALA us par TOUFEQ ke 70 darwaze kholdete hain,(Hazrath Junaid Baghdadi Rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jis ne Baitullah shareef ka Tawaaf kiya aur 2 Rakaat namaz padhi, use ek ghulam azaad karne ka sawaab diya jata hai.(Sunan e Ibne Majah, Hadith no:2956)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Duniya se be raghbati Dil aur Jism dono ko SUKOON bakhshti hai.(shubul Imaan,hadith no:10536)
- Sabar Duniya aur Aakhirat me har Neki aur Salamati ki bunyaad hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani rahmatullah alaih)
- Jab Hazrath Hamza raziallahu taala anhu shaheed hue to HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Aapki judai se badh kar mere liye koi aur sadma nahi hosakta, phir Aap ne Hazrath Fatima raziallahu taala anha aur apni phuphi jaan Hazrath Safiya raziallahu taala anha se farmaya:Khush hojaon! Abhi Jibreel Amen (Alaihissalaam) mere paas aaye the unho ne mujhe Khushkhabri sunayi ke Yaqinan Hazrath Hamza raziallahu taala anhu ka Naam e mubarak Aasman walon me likha hua hai:
” SYEDUNA HAMZA Raziallahu taala anhu ALLAH TAALA AUR USKE RASOOL Sallallahu alaihi wasallam KE SHER HAIN ” …
(Mustadrak Alas Sahihen,hadith no:4869)