Hazrath Imaam Hasan bin Ali raziallahu taala anhuma

Hazrath Imaam Hasan bin Ali raziallahu taala anhuma

Hazrath Imaam Hasan bin Ali raziallahu taala anhuma farmate hain:

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ka Chehra e Anwar Choudwi ke chand ki tarah chamakta tha.

(Shamail e TIrmizi,pg:2)

  • 3 chezou me Mithas talash karo.1) Namaz
    2) Zikar
    3) Tilawat e Quraan

    (Hazrath Imaam e Hassan raziallahu taala anhu)

  • KHAJOOR KE TANE KI HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SE MOHABBAT:
    ———————————————————————————–

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ek sutoon se tek laga kar khutba irshaad farmate the,

Phir jab Aap Sallallahu alaihi wasallam ke liye member tameer kiya gaya to Aap Sallallahu alaihi wasallam member ki taraf tashreef legaye to wo sutoon (Aap Sallallahu alaihi wasallam se judai ki wajeh se ) Rone laga,

HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam uske paas tashreef laaye aur use sine se lagaya to wo pur sukoon hogaya,

HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Agar Main use Sine se na lagata to ye qayamat tak rota rehta.

(Sunan e Ibne Majah,Hadith no:1415)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *