Hazrath Imaam Qastalani rahmatullah alaih farmate hain

  • Hazrath Anas Radiallahu anhu farmate hain:Main ne dekha:Hajjaam HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ke Sar e Mubarak ke baal kaat raha tha aur Aap sallallahu alaihiwasallam ke sahaba Aap Sallallahu alaihi wasallam ke Atraf ghoom rahe the aur unki koshish ye thi ke HUZOOR E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ka koi ek Mue Mubarak bhi zameen par girne na paaye balke unme se kisi na kisi ke haath me aajaye…

    (Sahih Muslim,Hadith No:2325)

  • Hazrath Imaam Qastalani rahmatullah alaih farmate hain:Jab Juma ka din jisme Hazrath Syeduna Aadam Alaihissalaam ki taqleq hui ek aisi ghadi se khaas hua jisme jo musalman banda us waqt jo koi bhalayi talab karta hai to ALLAH TAALA usko ataa farmata hai,

    PHIR TUMHARA US WAQT KE BAARE ME KYA KHAYAAL HAI JISME SYEDUL MURSALEEN NABI E KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI WILADAT HUI.

    (Al Mawahibun Ladunniya,vol:1,pg:248)

  • Hazrath Abbas raziallahu anhu jo NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ke chacha hai apne imaan laane ka sabab bayaan karte hue NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wa sallam se Arz karte hai :YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Main ne dekha ke Aap gehware me jidhar ishaara farmate the chand udhar jhuk jata tha,

    NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Main usse baten karta tha aur wo mujh se baten karta tha, wo Mujh ko Roone se behlaya karta tha, Jab wo Arsh ke niche Sajda karta to Main uske Sajde me girne ki Aawaaz suna karta tha.

    (Kanzul Ummal,Hadith No:31828)

    Hazrath HALEEMA Raziallahu Taala Anha Farmati Hain :

    “Jab HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wa Sallam ko apne paas laaye hame kabhi chirag ki zarorat hi paish na aayi, kyun ke AAPKE Mubarak chehre ka Noor Chirag ki roushni se zyada Roushan wo Munawwar hai, agar kisi dusre Maqaam par kabhi hame Chirag ki zarorat paish aati to hum AAPKO us maqaam par lejate, AAPKI Barakat se usi waqt daro diwaar aur makanaat Roushan Hojate”

    (Tafseer e Mazhari,vol:6,pg:514)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *