NABI E KAREEM ﷺ ne ek martaba Hazrath Jibreel Ameen se farmaya ke Jibreel zara ye to batou ke tumhari Umar kitni hai?
Hazrath Jibreel Alaihissalaam ne arz kiya:
Aqa meri Umar ka to mujhe andaza nahi likin itna yaad hai ke,
(saari kayenaat ke paida hone se pehle ALLAH TAALA ke hijabaat e Azmath me se ) 4 the parda e Azmat me ek Norani Sitara chamka karta tha, Aur wo sitara 70 Hazaar saal ke baad ek martaba chamkta hai,
AQA main ne apni zindagi me wo NORANI SITARA 72 Hazaar martaba dekha hai,
HUZOOR E AKRAM ﷺ (muskurate hue chehra e anwar ke saath ) farmane lage:
Jibreel (Alaihissalaam) Mujhe apne Rab e Zul jalaal ki Izzat ki Qasam! WO CHAMKNE WALA SITARA MAIN HI HO.
(Seerat e Halbiya,vol:1,pg:30)