- Hazrath muaawiya raziallahu taala anhu ne farmaya :
Main ne kisi bhi khateeb ko Ummul Momineen Hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha se badh kar balagat wo zahanat wala nahi dekha.
(Al Moujamul Kabeer , hadith no :298)
- Hazrath Jibreel Ameen Alaihissalaam , HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki Qidmat e Aqdas me hazir hokar Arz kiye :
Aap Hazraath e Ahle Badar ko Kaisa shumaar karte hain ?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne Irshaad farmaya :Musalmano me sab se Afzal ,
Ya HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne is tarah ki aur baat irshaad farmayi ,
Hazrath Jibreel Ameen Alaihissalaam ne arz kiya :
Isi tarah farishton me wo farishte Afzal hain jo Badar me Hazir hue.
(Sahih Bukhari , Hadith no : 3992)
- Hazrath Anas Raziallahu Taala anhu farmate hain:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne apne Dast e Mubarak ko zameen par rakh kar Irshaad farmaya :
Ye flan shakhs ke halakat ki jagah hai , ye flan shakhs ki halakat ki jagah hai ,
Raawi kehte hain :NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne kuffaar ke marne ki jis jagah nishandahi farmayi thi kisi ki naash us jagah se thodi bhi Aage nahi paayi gayi.
(Sahih Muslim ,Hadith no :7402)