Hazrath Moosa (عليه السلام) ka Waqia

Moosa Alaihis'salaam

Hadith

Hazrath Moosa (عليه السلام) ke asaa ka saamp ban jaana firon ke liye bahot mushkil aur fikar ki wajah ban gaya,

Firon ke darbaari us se kehne lage ki “Moosa (عليه السلام) kahi se jaadu seekh kar aaye hain, ab tum bhi apne poore mulk se bade-bade jaadugaro ko bulwao, aur un sab jadugaro ko Moosa (Alaihis’salaam) ke muqaabla me laao”

ye baat firon ko pasand aayi, usne apne aadmi poore mulk me bhej diye, wo log har jagah se zabardast aur taqatwar jaadugaro ko ikat’tha kar ke le aye.

jab hazaaro jaadugar jamaa ho gaye, jo apne jaadu me maahir aur ustasd the, to firon ne Hazrath Moosa Alaihis’salaam ko un jaadugaro se muqaabla karne ka challenge diya,

Hazrath Moosa Alaihis’salaam ne challenge qubool kiya,

firon ne poocha.. “muqaable ke liye kon sa din hoga?”

Hazrath Moosa (عليه السلام) ne farmaya “tumhare mele ka din fix karta hu”

ye fironiyo ka ek aisa din tha jis din wo saj-sawar ke door door se yaha jamaa hote aur mela lagta..

Hazrath Moosa (عليه السلام) ne ye din is liye bhi rakha ki ye din un ki shaan-o-shaukak ka din tha, us din ko fix karna sab logo par Haq zaahir kar dene ke liye tha,

jab wo din aya to hazaaro jaadugar muqaabla ki jagah par pahunch chuke the, aur Hazrath Moosa Alaihis’salaam bhi aa gaye,

jaadugaro ne Hazrath Moosa Alaihis’salaam se arz ki “pehle kon shuruwaat karega, Aap ya Ham log?”

Hazrath Moosa Alaihis’salaam ne un se farmaya “pehle tum”

Hazaaro ki us bheed me un jaadugaro ne apni apni rassiya aur laathi dande daal diya, aur wo sab ke sab saamp ban kar bhaagne lage,

Nabi Musa

Hazrath Moosa Alaihis’salaam ne dekha ki zameen saampo se bhar gayi hai aur meelo lambe chaude maidaan me bas saamo hi saamp daud rahe hain,

ye dahshat’naak nazara dekh ke log hairaan reh gaye, itne me Hazrath Moosa Alaihis’salaam ne apna asaa zameen pe daal diya, usi waqt wo ek bahot hi badaa azdaha ban gaya aur jaadugaro ke saare saampo ko ek ek kar ke nigal gaya,

wo saari rassiya, laathi aur dande jo jaadugar laaye thy, jo saamp ban kar daud rahe the, un sab ka wazan hi 300 oont ka tha,

dekhte hi dekhte Hazrat Moosa Alaihis’salaam ke azdahe ne sab ka safaaya kar diya aur sab nigal liya,

Fir Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne azdahe ko haath me liya to wo pehle jaisa asaa ban gaya,

ye manzar dekh kar saare jaadugaro ne pehchaan liya ki Hazrat Moosa Alaihis’salaam ka asaa jaadu wala nahi hai aur jaadu me aisi taqat nahi, wo samajh gaye the ki ye zaroor sabse taqatwar ek khuda ka hi kaam ho sakta hai.

Ye baat samajh kar wo saare jaadugar wahi aur usi waqt sajde me gir gaye aur imaan le aaye

Supplication of Hazrath Moosa Alaihissalam

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *