Hazrath Moosa alaihis salam ne jaise hi azdahe ko pakda

Moosa alaihissalam

Hazrath Moosa (عليه السلام) sharf-e-nabuwat se musharrif ho kar jab firon ke paas pahunche, to usse farmaya “Aye firon ! Main Allah ka Rasool hu, tu khuda hone ke dawa ko chor aur ek Allah par imaan le aa”

Firon bola “agar Aap Allah ke Rasool hain to koi nishani dikhaiye”

Hazrath Moosa (عليه السلام) ne apna asaa zameen par daal diya, wo fauran ek bahot badaa azdaha ban gaya, zard rang, muh khole huye zameen se ek meel uncha apni dum par khada ho gaya, aur ek jabda usne zamane par rakha aur dusra firon ke mahal ki deewar par, fir azdahe ne firon ki taraf rukh kiya, to aisi bhagdar machi ki bahot se log kuchal kar mar gaye aur firon ghar me ja kar cheekhne laga, wo bola… “aye Moosa (Alaihis’salaam) Aap ko uski kasam hai jisne Aap ko Rasool banaya, is azdahe ko pakad lo”

Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne jaise hi azdahe ko pakda to wo pehle ke jaise lakdi ka asaa ban gaya, ye dekh firon ki jaan me jaan aayi.

Hazrat Moosa Alaihis salam ki dua

hazrath moosa alaihis salam ki dua

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *