- Meri aankhon ki thandak namaaz mein banaadi gayi hai.(Musnad Imam Ahmad, Hadith No. 14037)
- ALLAH TAALA ne Apni Ita’at karne walon ko marne ke baad bhi zinda rakha hua hai,(Hazrath Amar bin Usman rahmatullah alaih)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Ache Aqlaaq ek behtaren Neki hai.(Sahih Muslim)
- Hazrath Syeduna Hassan bin Sabit raziallahu taala anhu farmate hain:YA RASOOLALLAH! ﷺ Aap jaisa Haseen meri Aankh ne kabhi nahi dekha aur Aap jaisa Husn o jamaal wala kisi khatoon ko tawallud hi nahi hua,
Aap har Aaib o Alaesh se paak paida kiye gaye goya Aap ko is shaan ke saath paida kiya gaya Jaisa Aap chahte the…..
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Meri ummat ke Rahem dil logon se apni muraden mango, aur unke qareeb raha karo, kyun ke meri rehmat unhi me hai, aur sang dil logon se muraden na mango, kyun ke wo meri narazgi ke muntazir hai.(Kanzul Ummal, hadith no:16802)
- Hazrath Saad raziallahu taala anhu HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat me hazir hue aur arz kiya:YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam sab se afzal sadqa kaouna hai:
Aap sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Paani Pilana.(Sunan e Abu Dawood,Hadith no:1679)