Hazrath Umar e Farooq R.A

Hazrath Umar e Farooq R.A
  • Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu farmate hain:

Ek martaba NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ek maqaam par tasreef farma hue aur Aap ne Hame Tamaam maqlooq ki paidaish se lekar jannati ke jannat me dakhil hone, aur dozaqi ke dozaq me puhanchne tak ki khabar farmayi,

Jis shakhs ne usko (yane HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke farman ko) yaad rakha usne yaad rakha aur jo bhool gaya so wo bhool gaya.

(Sahih Bukhari,vol:1,pg:453)

  • Hazrath Yahiya bin muaaz rahmatullah alaih farmate hain:

    Mohabbat agar raae ke daane ke barabar bhi ho to Mujhe wo aisi 70 saala ibadat se zyada mahboob hai jo bagair mohabbat ke ki jaye.

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Tum ye samjhte ho ke main sirf qible ki taraf dekhta ho,

    Allah ki qasam! Mujh par na tumhara khushu chupa hai aur na ruku aur beshak Main tumhe Apni pit ke piche se bhi dekhta ho.

    (Sahih Bukhari,vol:1,pg:59)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *