HAZRATH USMAN BIN AFFAN Raziallahu taala anhu

Masjid
  • AMIRUL MOMINEN HAZRATH USMAN BIN AFFAN Raziallahu taala anhu.
    ———————————————————————————————-

    Aapka naam e mubarak “USMAN” aur kunyat e sharefa “ABU ABDULLAH” hai.

    Aapko ye sharf hasil hai ke aapka nasab e mubarak Hazrath Abde Manaf ke baad HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke nasab e mubarak se jamilta hai.

    Aapki wiladat e mubaraka Aamul fel ke 6 te saal hui,

    Sab se pehle Imaan laane wale khushnaseebon me aap 4 the fard hai.

    18 zilhajja 35 hijri juma ke din baad namaz e asar aapki shahadat hui,

    Aapka Mazaar e Mubarak Jannat ul Baqi shareef me hai.

     

  • 2 Qadam ALLAH TAALA ko bahut pasand hain:

    Ek Qadam jo Farz Namaz ke liye Uthe,
    Aur Dusra Qadam jo Kisi BImaar ki Iyadat ke liye uthe.

  • Hazrath Anas bin Malik raziallahu taala anhu farmate hai:

    Jis Din NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Aamad hui Madine Munawwara ki har cheez chamak rahi thi.

    (Jame Tirmizi,Hadith No:3978)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Main ne ALLAH TAALA se maroza kiya ke qayamat ke din Usman (raziallahu taala anhu) ko hisaab ke liye khada na kare, to ALLAH TAALA ne unke haq me meri sifarish qubool farmali.

    (Kanzul Ummal,Hadith no:33095)

  • Hazrath Abdullah bin umar raziallahu taala anhuma farmate hain:
    Ek din HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Masjid me tashreef laaye,

    Hazrath Abu Bakar Aur Hazrath Umar (raziallahu taala anhuma) ek dayen janib the aur dusre bayen janib the,

    NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Aap donou ke haath pakde hue the,

    Aap ne irshaad farmaya:

    HUM QAYAMAT KE DIN ISI TARAH UTHENGE.

    (Jame Tirmizi,vol:2,pg:230)

  • ALLAH TAALA Ki Mohabbat ki nishani ye hai ke Banda Ibadat e Ilaahi me Sakht se Sakht Takleef bardast kare , kyun ke Mohabbat Aaraam se hasil nahi hoti.

    (Hazrath Sayeed Rahmatullah Alaih)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Sab se behtar log us zamane ke hain jis me, Main moujood ho (yane sahaba) uske baad dusre zamane ke log (yane Tabaein) aur uske baad tesre zamane ke log.(yane tabe tabaein).

    (Sahih Muslim,hadith No:2536)

  • Jis ne Raza e Ilahi ke liye 40 din tak Takber e Aoula ke saath ba jamaat namaz adaa ki uske liye 2 najaten likhi gayi,
    Ek Najat jahannum se aur dusri munafiqat se.

    (Jame Tirmizi,vol:1,abwabus salaat)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Beshak Main Apne piche bhi aise hi dekhta ho jaise Aage dekhta ho.

    (Sahih Bukhari,Hadith no:418)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *