- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Houz E Kauser ke bartan sitaron ke barabar honge, us se jo bhi insaan ek ghont pilega, to hamesha ke liye uski piyaas bujh jayegi.(Sunan e Ibne Majah, Hadith no:4303)
- Wo mominon ki jaanon se bhi qareeb hue,
Kaha se kisne pukara HUZOOR (sallallahu alaihibwasallam) jante hai…Subhan Allah! - HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Jab Raat ko Tashreef laate to Fiza me KHUSHBOO ke phelne se AAP Sallallahu alaihi wasallam ki pehchan hoti..(Musannaf Ibne Abi Shaiba;hadith no:2632)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA ko wo amal bahut pasand hai jisko karne wala hamesha pabandi se kare.(Sahih Bukhari,vol:1,pg:121)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA irshaad farmata hai:
Jo log meri Azmat aur jalaal ki wajeh se Apas me Mohabbat rakhte hain,Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke member honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi rashk karenge.
(Jame Tirmizi,Hadith no:2390)
- Sab se bade martabe wala wo shakhs hai jo zyada tar qusoor maaf kiya karta hai……Subhan Allah!(Hazrath Qatada Raziallahu Taala Anhu)
- Agar tum ALLAH ki nematon ko ginna chahoge to gin nahi sakte, Haqiqat ye hai ke wo bada hi darguzar karne wala aur Reham farmane wala hai.(Surah Al Nahal)
- Jis buzrugh ko jo bhi NEMAT mili hai wo TAHAJJUD hi se mili hai, Isliye Namaz e TAHAJJUD ki badi FAZILAT hai.(Hazrath Muhaddise Deccan Abdullah Shah Naqshbandi Rahmatullah Alaih)
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak ALLAH TAALA ka ek farishta hai jiske 2 par hain, ek mashriq aur dusra maghrib me, Jab koi banda mohabbat bhare andaz me mujh par durood bhaijhta hai to wo paani me gouta lagata hai phir apne par jhaadhta hai, To ALLAH TAALA uske har qatre se ek farishta paida farmata hai jo mujh par Durood padhne wale ke liye qayamat tak istighfaar karta rahega.(Al Qawl Ul Badee,pg:213