Houz e Kouser

Houz e Kouser

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Houz e Kouser ke bartan sitarou ke barabar honge, us se jo bhi insaan ek ghont pilega, to hamesha ke liye uski piyaas bujh jayegi.

(Sunan e Ibne Majah, Hadith no:4303)

Hauz e Kausar

HAUZ –E-KAUSAR SE HATAI JANE WALE LOG :

Rasool Allah (s.a.w) ne Farmaya “ ki yakeen jano (Qayamat ke din) Hauz per tumhara mera saamna hoga ( Yaani Main tumko Pilane ke liye pehle pahucha hua honga). Jo mere pass se hoker Guzrega, Pee lega or Jo (Mere Pass Hauz se ) Pee lega, Kabhi pyassa na hoga, Phir Irshad Farmaya, Aisa zaroor hoga ki Peene ke liye mere pass aise Log aainge, Jinko Main Pahchaanta hounga or weh log mujhey pahchante honge, Phir (Unko mujh tak pahuchne na diya jaaiga) balki, mere or unke darmiyaan aad (parda) laga di j aaigi. (or wo log peene se mehroom reh jaainge, Main kahunga, Ye to mere aadmi hai (Inko aane diya jaai )Is per Mujhse kaha jaaiga ki aap nahi jaante hai ki Aapke baad unhone kya nai cheezen nikali thi, (Yaani Deen me Hair-phair kiya tha) yeh sunker Main Kahunga Door Ho, Jinhone mere Baad Adal Badal kiya. (Muslim & Bukhari)

Related Link:
Hauzu’l-Kausar

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *