Hum ne apni behtarien zindagi sabar ke saath payi hai

  • Momin ki nishani ye hai ke aise logon ki suhbat me rahe jin se deen ki islah ho.
    (Hazrath Usman e Ghani raziallahu taala anhu)
  • Allah ki Qasam! Allah Ta’ala apne mahboob bande ko dozakh me nahi daalta.
    (Mustadarak ‘Alas Sahihain, Hadith No. 7455)
  • Hum ne apni behtarien zindagi sabar ke saath payi hai.
    (Hazrath Umar raziallahu taala anhu)
  • Yaqinan sabar karne walon ko unka ajar behisaab andaaz se pura kiya jayega.
    (Surah az zumar:10)
  • Jo log apne dilon ko pakiza rakhte hain ALLAH TAALA unhe apna Mahboob rakhta hai…
  • Jisne Namaz ki pabandi ki qayamat ke din uske liye namaz Noor wo Burhaan aur Najaat ka baa’is hogi,Aur jisne uski pabandi na ki uske liye na wo noor wo burhaan hogi aur na najaat ka baa’is hogi , aur wo shakhs qayamat ke din Qaaroon , firoun , hamaan , aur ubai bin khalf ke saath hoga.

    (Shubul Imaan,hadith no:2697)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Yaqinan Musalman banda Namaz sirf isliye padhta hai ke ALLAH TAALA Razi Hojaye to usse Gunah Istarah Jhadte hai Jaisa ke Is Darakht se ye Patte jahdte hai.

    (Musnad Imaam e Ahmed,hadith no:22177)

  • Dusron ke dukhon ko apna samjh kar bantliya karo.(Hazrath Nizam uddin Aowliya rahmatullah alaih)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *