بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
Hazrat e Imam Jafar Sadiq رضي الله عنه ne Kashf ul Guyub mein tehreer farmaya ke jumu’ah ki raat 11 Rajjab hijri 140 mein Quraan e paak ki tilawat mein mashgul tha takriban aadhi raat khatam ho chuki thi mujh par neend ka galba gaalib huwa uss waqt ilham huwa ke iss waqt tilawat chordh kar so jaao.
Chunache maiñ so gaya to ussi halat mein Aalam e malaqoot (Farishtoñ ki duniya) mein zahir huwa aur jald hi Aalam e malaqoot se Aalam e jabaroot ki taraf badha to khawab mein ek baagh nazar aaya jiske har darakht par tajalliyañ nazar aa rahi thi kuch Farishte tasbeeh padh rahe the bahot se Ambiya e Kiram ki rooh e pak maujood thi.
Sahabi e Rasool ﷺ Hazrate Anas ibne Maalik رضي الله عنه mere paas tashreef laaye aur farmaya ki Huzoor ﷺ aapke intezaar mein hai Main Sarkar e Do Aalam ﷺ ki khidmat e akdas mein haazir huwa wahañ ek bade maidan mein ek shandar khaima (tent) maujood tha aur maidan ke beech mein ek takht bicha huwa tha jiss par do jahañ ke Rasool ﷺ jalwa farma they, mujhe dekh kar Rehmat e Do Aalam ﷺ ne irshad farmaya ki aye mere noor e nazar bahot jald tum hamare paas aane wale ho jo wakiya tumhe dekhne mein aa raha hai usse duniya mein likh dena, phir Huzoor ﷺ ne mujhe apne kareeb baithne ka hukm farmaya to kareeb baith gaya kuch deir ke baad 2 Rooheiñ Sarkar e do Aalam ﷺ ke takht ke kareeb aayi ek rooh ka rang heere ki tarah chamakdar tha aur doosri rooh ka rang jo piche thi wo yakoot jaisa tha.
Pehli rooh ko Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne apne sidhe Janoo par baithaya aur doosri rooh ko baaye Janoo par baithaya phir Sarkar e Do Aalam ﷺ ne pehli rooh ke mutalliq farmaya iska naam duniya mein Abdul Qadir Muhiyuddeen hoga iska martaba bohat buland hai iske asar se mazhab e islam mazboot hoga. Phir doosri rooh ke mutalliq irshad farmaya iska zuhoor Abdul Qadir ke baad hoga aur duniya mein iska naam Ali Ahmed Sabir hoga iske andar shaan e jalal zyada hogi aur ye haqq ke dushmano ko barbad kar dega uske baad Hazrat Jafar Sadik رضي الله عنه neend se bedaar huwe.
# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه