NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Apne DAST E MUBARAK ko zameen par rakh kar irshaad farmaya:
Ye flan shakhs ki halakat ki jagah hai, ye flan shakhs ki halakat ki jagah hai,
Raavi kehte hain:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne kuffar ke marne ki jis jagah nishandahi farmayi thi kisi ki nash us jagah se thodi bhi aage nahi paayi gayi.
(Sahih Muslim,vol:2,pg:102)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat me arz kiya gaya:
Aap us Shakhs ke baare me kya farmate hain:
Jo Nek Amal karta hai aur us amal par log uski Tareef karte hain?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
wo Momin ko Jald Milne wali Khushkhabri hai.
(Sahih Muslim,Hadith No:6891)
* Hazrath Anas Raziallahuanhu farmate hain:
Main ne Hazrath NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke pasina Mubarak se Zyada Khushboodaar na koi Mushk sungha aur na koi Atar…
(Sahih Muslim,vol:2,pg:257)