- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat me ek ladka laaya gaya, jo paida’eshi gunga tha,
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne us ladke se pucha ke itna batao ke main kaun ho?
us ladke ne arz kiya:
Aap ALLAH KE RASOOL (sallallahu alaihi wasallam) hain. (aur usi waqt se baat karne laga).
(Baihaqi fi Dalailun Nabuwwa,Hadith no:2311)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasllam ek roz hamare darmiyan Qiyaam farma hue:
aur AAP Sallallahu alaihi wasallam ne Maqloqaat ki ibteda se lekar Jannatiyon ke Jannat me dakhil hone aur Dozaqiyon ke Dozaq me dakhil hojane tak hame sab kuch bata diya,
Jisne use yaad rakha, yaad rakha, aur jo use bhool gaya so bhool gaya.
(Sahih Bukhari,Hadith no:3020)