HUZOORE AKRAM ﷺ ne Irshaad Farmaya

HUZOORE AKRAM ﷺ ne Irshaad Farmaya

Sabar aur Raza aisi 2 surten hai:
Jab tum amal karna shuru karo to uski shurwat sabar hai, aur uska Anjaam Raza hai. (Hazrath Shaqeq Balqi rahmatullah alaih)

HUZOOR-E-AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Aur Meri Khatir saari zameen Paak Karne Wali Aur Sajdagaah Banaadigayi.
[Sahih Muslim,Hadees No:1195]

HUZOORE AKRAM ﷺ ne Irshaad Farmaya

Aye Logo! Apne Rab ki Ibadat karo jisne tumhe paida kiya aur un logou ko jo tum se pehle the taake tum parehezgaar banjou.
(Surah Al Baqarah:21)

Jab koi kafer neik kaam karta hai to uska badla use dunya me hi dediya jata hai..Lekin Momin ki nekiyan ALLAH TAALA Akhirat ke liye mehfooz kardeta hai aur uski farmabardari par dunya me use Rizq ataa farmata hai..
(Sahih Muslim,Hadith No:2808)

Hazrath Abdullah bin atik radiallahuanhu ke pair ki haddi todh gayi NABI E KAREEM Sallallahu alaihiwasallam apna dast e mubarak phairte hi unku yun mahsoos hua ke kabhi dard hua hi na tha.
(Sahih Bukhari,vol:2,pg:577)

Related Link :
Daily Hadees of Prophet Muhammad

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *