Ibrahim Alaihis Salam Ka Waqia

Allah pak ne 80 baras ke baad Hazrat Ibrahim AS ko betay ki basharat di . Is waqt un ki zoja Sara bhi burhi ho chuki thin aur banjh thin to Allah pak ne AAp As ko amman Hajra jo k misar k badsha ki beti ya laundi thin mein se beta ata kiya jin ka naam ISmaeel tha. lekin phir Allah ka hukum huwa k inhain apni nazron se kahin door chor aao . to hazrat Ibrahim As ne poocha kahan chor aon to Allah pak ne aik farishta ko aap ki rehnumai k liye sath kiya k jahan yeh kahay wahin chor ana. to AAP AS apni BIWI aur betay ko lekar rawana huwe chalte chalte (oont pe) 3 hafton k safar k baad aik registan mein Allah pak ka hukum huwa k yahan pe inhain chor kar wapis chale jaien to Hazrat Ibrahim AS bohat pareshan huwe k yahan to na pani hae na khorak ka samaan yahan kaise chor don lekin phir Allah k hukum ko mante huwe unhain wahin chora aur wapis chal pare. Amman hajra ne poocha k humara qasoor kiya hae ? lekin jab unhain pata chala k yeh Allah ka hukum hae to woh bhi khamosh hogaien. aur kaha k agar yeh Allah ka hukum hae to phir Woh humain zaiya nahi karega

Hazrat Ibrahim AS unhain wahan chor kar wapis palat gaye. go k bohat afsurda thay lekin Allah ka yehi hukum tha aur wapsi pe dua ki k Ae Allah Tu hi in ka negehbaan hae tujhay yeh baat pasand nahi ayi k meray dil mein betay ki mohabbat ne ghar kar liya . main teri raza mein razi hon.

jab 3 din guzre aur khane peenay ka samaan khatam huwa to amaan hajra ki chati bhi khushk hogai abb beta bhook se bilak raha tha to unhain aik jagah zameen pe dala aur khud aik pahaR pe charhin aur idhar udhar nigaah dorai jab bacha nazar se ojhal huwa to darmiyan se phir choti pe gaien aur aik nigaah bachay pe dali phir wahan se marwa ki taraf doaR lagai is tarah 7 chakar Safa aur Marwa k darmiyan lagaye akhir thak kar wahin beth gaien aur himmat jawab de gai to socha k abb tabhi wapis jaongi jab bacha jaan de dega k nazron k samne usay bhooka marta nahi dekh sakti thin k achanak door se aik safaid rang k kapron mein bazurg nazar aye jo bachay ki taraf arahe thay to phir sari himmat ko mujtama kiya aur wapis bhagin to jab neechay pohnchin to kiya dekhti hain k jahan bachay ne airiyan ragrin wahan se aik chashma jari hogaya aur bazurg ghiab thay to Hazrat Hajra ne kaha zam zam zam zam (Abrani zuban ka lafz hae jis ka matlab hae ruk ja ruk ja) to chashma ruk gaya. Nabi Pak S.A.W.W  farmate hain Allah reham kare Ismaeel ki maan par  warna agar woh zam zam na kehtin to poore arab mein dariya jari hojana tha . AAp ne woh pani khud bhi piya aur bachay ko bhi pilaya. aur Allah pak ka shukar ada kiya.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *