- Har maal ki zakat hoti hai aur ilm ki zakat ye hai ke us par amal kiya jaaye.
(Hazrath Nizam uddin Awliya rahmatullah alaih)
- Tabiyat ki narmi aur sakhawat insaan ko dushmanou ke dilon me bhi mahboob banadeti hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Bhalayi aur kitaab wo sunnat ki taleem dene wale ke liye samandar me machliyan bhi dua e maghfirat karti hai.
(Al Targheeb wal Tarheeb:80)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Aamaal me sab se afzal Amal ALLAH TAALA ke liye Mohabbat rakhna aur ALLAH TAALA hi ke liye dushmani rakhna.
(Sunan e Abu Dawood,hadith no:4599)
- Hazrath Jaber bin Sumrah raziallahu taala anhu farmate hain:
Jab NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne mere Rukhsaar ko chuwa to Main ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke Dast e Aqdas me aisi thandak aur khushboo paayi jaise abhi AAP Sallallahu alaihi wasallam ne (Attaar ) ke dabbe se apna Dast e Aqdas nikala ho.
(Sahih Muslim)
- Apne tamaam maamlat ALLAH par chodh do kyun ke ALLAH behtaren badla dene wala hai.
(Hazrath Syeduna Imaam Hasan raziallahu taala anhu)
- Yaqinan tumhare liye RASOOLULLAH (Sallallahu alaihi wasallam) ki zaat e mubarak me behtaren Namona hai.
(Surah Al Ahzaab:21)
- Hazrath safwan bin Assal raziallahu anhu farmate hai:
Qaoum e Yahood ke baaz Afraad HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Qidmat me hazir hue aur sawaal karne ke baad alaniya gawahi di ke HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ALLAH ke Sacche RASOOL hain,
Unho ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke Dast e mubarak aur Qadam e Mubarak ko Bosa diya, Aur Kaha:
Hum Gawahi dete hain ke Beshak AAP NABI (sallallahu alaihi wasallam) hain.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3705)