Imaan Arabi zabaan ka lafz hai, iska mada Alif-Meem-Nuun (Amn) se hai mushtq hai. Lagat ki ro se kisi khauf se mehfooz hojane, dil ke mutmaeen ho jaane aur insaan ke qair-o-aafiyat se hmkinar hojane ko aman kahte hai.
Imaan ka lafz bataure fa-al lazim istemaal ho toh uska maane hota hai hai “Aman Paana”, aur jab yeh Fa-al matadi ke taur par aai toh uska maana hota hai “Aman Dena”
Kisi par Imaan lane se murad uski tasdeeq karna aur uspar yaqeen rakhna hai. Goya lafz Imaan apne asal maani aur mafhoom ke ietebar se aman, amanat, aur bharose se par dala-lat karta hai.