Namaz e Ishraq :
Ishraaq, Chast or Salat ut Duha Ek hi Namaaz Hai,
kuch aalimo ke nazdik ishraaq or chast alag alag hai,
ishraq ki namaaz suraj tulu (sunrise) hote hi padh lena chahiye
aur chast ki namaaz suraj tulu (sunrise) se zawal ke beech padna chahiye.
Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jisne Namaz e Fajar jamaat ke saath adaa ki aur Ishraaq tak Masjid me baitha raha phir 2 rakaat nafil namaz padhi to usko ek Haj aur Umre ka sawaab milega. (Jame Tirmizi,vol:1,pg:130)
Related Links:
Namaz -e-Ishraq
Nafl prayer