﷽
Islam ka maine aur mafhoom kya hai?
Islam ka lafz “SEEN” س “LAAM” ل “MEEM” م , SALAMA se nikala hai. Is ke lagvi ma-a-ni BAC-NE mehfooz rahne, masa-li-hat aur aman wo salaamti paane aur fara-hym karne ke hai.
Hadees Nabawi main is lagvi ma-a-ni ke lehaaj se irshaad hai:
Al-MUSLIMO-MAN-SALIMAL-MUSLIMUNA-MAL-LISANIHI-WA-YADIHI
“Bahtar Musalman wo hai jis ki zabaan aur haath se doosre Musalmaan mehfooz rahe”
Isi maa-dah ke ba-ab-e af-aal se lafz “ISLAM” bana hai. Lagat ki roh se lafz ISLAM Chaar(4) maa-a-ne par dalalat karta hai.
-
-
- “ISLAM” ka lag-vi ma-aa-ne kudh aman aur sukoon paana, doosre afraad ko aman aur salaamti deena aur kisi cheez ki hifazat karna hai. Quran Hakeem main Allah Taala Ne Farmaya:
-
YAHDI BIHI-L-LAHO MANIT-TABA-A-RIZWA-NA-HO-SU-BU-LAS-SALAAMI
“ALLAH USKE ZARIYE UN LOGAU KO JO USKI RAZA KE PAIRU HAI, SALAMATI KI RAHAU KI HIDAYAT FARMATA HAI”
-
-
- “ISLAM” Ka doosra mafhom maan-na, tasleem karna, jhukna, aur khud supurdgi aur ata-aat iqtiyaar karna hai. Quraan Hakeem main ALLAH Taala ne irshaad farmaya:
-
IZ QALA-LAHU-RABBUHUU-ASLIM-QALA-ASLAMTU-LI-RABBIL-AALAMEEN
“AUR JAB UNKE RAB NE UNSE FARMA: (MERE SAMNE) GARDAN JHUKADO, TOH ARZ KARNE LAGE: MAIN NE SAARE JAHANAU KE RAB KE SAMNE SAR TASLEEM QAM KARDIYA”
-
-
- “ISLAM” main teesra mafhoom salah aur aashti ka paya jata hai. ALLAH Taala ne Quraan Hakeem main farmaya:
-
“YA-AYYU-HAL-LAZEENA-AMANUD-QULU-FIS-SILMI-KA-AF-FA-TAN”
“AI IMAAN WALO! ISLAM MAIN POORE POORE DAQIL HOJAO”
Isi Tarah ek buland aur bala daraqt ko bhi arabi lag-aat main Aslam kaha jaata hai.
Mandarja baala maa-ne ke lehaz se lagvi tau par ISLAM se muraad Aman Paana, Sar Tasleem Aam karna, Saleh wo Aashti aur bulandi ke hai.