- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jin logon ki zabanen Zikr e Ilaahi se hamesha tar rehti hai wo jannat me khush o khurram dakhil honge.
(Musannaf ibne Abi shaiba,hadith no:34587)
- Jab ALLAH TA’LA Razi hone lagta hai to bande ko apne Aaibon ka pata chalna shuru hojata hai, aur yehi uski Rehmat ki pehli nishani hai….
- Jo log gusse ko pijate hain aur dusron ke galtiyon ko maaf kardete hain aise log ALLAH TA’LA ko bahut PASAND hote hain…
- ALLAH TA’LA ka qurb wahi hasil karta hai jo maqlooq par shafaqqat karta hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader jilaani raziallahu taala anhu)
- Neik amal insaan ko khud ba khud qabil e tareef banadeta hai aur neik anjaam khud ba khud saath saath chalta hai.(Hazrath Imaam Husain Raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Quraan ki tilawat ko khud par laazim karlo kyun ke ye tumhare liye Zameen me noor aur aasamanou me zakhira hogi.
(Al Targheeb wal Tarheeb,hadith no:10)