- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab Eid ul Fitr ka din hota hai to farishte raaston par khade hojate hain aur nida dete hain:
Aye Musalmano ! Rab e Kareem ki taraf laout jao jo bhalayi dekar ehsaan karta hai phir us par bahut sa sawaab bhi deta hai,
Yaqinan tum ko Raat me Ibadat karne ka hukum diya gaya to tum ne Ibadat ki aur din me tumhe roza rakhne ka hukum diya gaya to tum ne roza rakha aur apne Rab ki Ita’at ki pas tum apne Inamaat Hasil karlo,
pas jab log namaz se farigh hojate hain to nida dene wala nida deta hai,
Suno ! Beshak tumhare Rab ne tumhe baqsh diya pas tum hidayat yaafta ban kar apne Rab ki taraf laout jaou,
EID UL FITAR INAAM KA DIN HAI AUR AASMANOU ME US DIN KO YOUM UL JAAYIZA (INAAM KA DIN ) KAHA JATA HAI.
(Al Targheeb,vol:2,pg:153)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab Eid ka din aata hai yane Eid ul Fitar ka din, to ALLAH TAALA apne bandon se farishtou par Faqar farmata hai,
pas Farmata hai:us mazdoor ki kya mazdori hai jis ne apna kaam pura kiya ho,
Farishte Arz karte hain:parwardigar uski jaza ye hai ke use pura ajar Diya jaye,
ALLAH TAALA Farmata hai:
Aye Mere Farishto mere bande aur bandiyou ne mere is farize ko Jo unke zimme tha adaa kar diya hai, phir wo (Eidgah ki taraf) Dua ke liye nikle, Mujhe apni Izzat wo jalaal, karam wo balandi aur baland martaba ki qasam! MAIN UNKI DUA QUBOOL KARONGA,
Phir ALLAH TAALA farmata hai:Aye Mere bando ! Lout jao main ne tumhe baqsh diya aur tumhari buraiyan nekiyou me badal di,
HUZOOR NABI KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
Log is haal me wapas lout te hain ke unki baqshish hochuki hoti hai.
(Baihaqi,pg:343)