- Jab Rajab ka mahina aata to HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam istarah Dua farmate:Aye ALLAH ! Hamare liye Rajab aur Shaban ko babarkat banade , Aur Hame Ramazan tak phuncha !(Ghunyatut Talibi lit Tariqil Haqqi,vol:1)
- Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Hazrath Ali raziallahu taala anhu farmate hain:Main ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se pehle aur baad aapki tarah kisi ko na dekha.(Shamail e Tirmizi,pg:2)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Ahle Jannat ke sar par aise Taj honge jinka chote se chota moti bhi Mashriq wo maghrib ke darmiyan ki chizon ko roushan kardega.(Jame Tirmizi,Hadith no:2562)
- Jisme 3 Aadaten ho samjho ke wo ALLAH TAALA se Mohabbat rakhta hai.1) Darya ki tarah sakhawat2) Suraj ke jaisi shafaqqat
3) Zameen ki tarah Inkesaari wo tawazu
(Hazrath Khaja Ghareeb Nawaaz Rahmatullah alaih)