- ALLAH TAALA jo apne bande se 70 ma’on se zyada mohabbat karne wala hai, wo kaise apne bande ko pareshani me dekh sakta hai, hum use yaqeen aur sacche dil se pukaar kar to dekhe wo zaroor hamari madad farmayega.
- Jab insaan ALLAH TAALA par pura yaqeen rakhe to wo mayoos ho hi nahi sakta kyun ke ALLAH pareshani se nikalne ka raasta nikaal hi deta hai.
- ALLAH TAALA ke razi hone ki nishani ye hai ke banda uski taqdeer pe razi ho.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Zaruratmand ki madad karne wala ALLAH ka dost hota hai.
(Hazrath Khawaja Usman e Haroni rahmatullah alaih)
- Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Irshaad farmaya:
Jab shaitan Azaan ki Awaaz sunta hai to wo bhaagh jata hai…
(Sahih Muslim,vol:1,Hadith no:758)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat me arz kiya gaya:
Aap us Shakhs ke baare me kya farmate hain:
Jo Naik Amal karta hai aur us amal par log uski Tareef karte hain?HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
wo Momin ko Jald Milne wali Khushkhabri hai.(Sahih Muslim,Hadith No:6891)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jab tum ALLAH se maango to JANNAT UL FIRDOUS ko maango,
kyun ke wo jannat ka sab se afzal aur baland darja hai,
uske upar RAHMAN ka arsh hai.
aur usi se jannat ki nehren nikalti hai.
(Sahih Bukhari,Hadith no:7423)