Jab tum ALLAH se maango to JANNAT UL FIRDOUS ko maango

  • Jannatiyon ki alamat ye hai ke khud naik hone par Ektefa nahi karte balke dusron ko bhi naik banane ki fikar me lage rehte hain.

(Hazrath Muhaddis e Deccan Syed Abdullah shah Naqshbandi wo qadri rahmatullah alaih)

  • NABI E KAREEM صلی اللہ علیہ وسلم ne irshaad farmaya:Jab tum ALLAH se maango to JANNAT UL FIRDOUS ko maango,

    kyun ke wo jannat ka sab se afzal aur baland darja hai,

    uske upar RAHMAN ka arsh hai.

    aur usi se jannat ki nehren nikalti hai.

    (Sahih Bukhari,Hadith no:7423)

  • Hazrath ANAS Raziallahuanhu farmate hai:

HUZOOR E PAAK صلی اللہ علیہ وسلم se jo bhi cheez maangi gayi AAP ne Ataa farmadi,

Ek saheb Aapki qidmat babarkat me hazir hue ,Aap ne unhe 2 pahadon ke darmiyaan ki saari bakriyan ataa farmayi,

Wo apne qabile me wapas hue aur unse kehne lage:

Aye logo! Tum Islaam Qubool karlo:

Kyun ke HAZRATH SYEDUNA MOHAMMED MUSTAFA صلی اللہ علیہ وسلم is qadar ataa farmate hain ke faaqe ka qouf nahi rehta.

(Sahih Muslim,vol:2,pg:253)

  • wo zuban kitni pakiza hai jo ALLAH TAALA ke zikar me rehti hai,wo dil kitna pur Noor hai jo HUZOOR صلی اللہ علیہ وسلم ki mohabbat me sarshaar rehta hai.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *