- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Aamaal me sab se afzal Amal ALLAH TAALA ke liye Mohabbat rakhna aur ALLAH TAALA hi ke liye dushmani rakhna.
(Sunan e Abu Dawood,hadith no:4599)
- Ummul Momineen Hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha farmati hain:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Ramzan Ul Mubarak ke Aakhri Ashre me Etekaaf farmaya karte aur Irshaad farmate : Tum Shab e Qadar ko Ramzan ul Mubarak ke Aakhri Ashre me Talaash karo !
(Sahih Bukhari,hadith no :2020)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Jab tum me se koi ghar se wuzu karke aaye , To Ghar Loutne tak use Namaz ka sawaab milta rehega.
(Mustadrak ,hadith no : 744)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Etekaaf ke baare me farmaya:Wo gunah se rok deta hai, uske liye aisi nekiyan likhi jati hain jo tamaam nekiyon par amal karne walon ke liye likhi jati hain.
(Sunan e Ibne Majah,Hadith No:1781)