- Jisne isha ki namaz bajamat adaa ki usne goya aadhi raat qiyaam kiya aur jisne fajar ki namaz bhi bajamat adaa ki goya usne puri raat qiyaam kiya.
(Sahih Muslim,hadith no:656)
- Beshak tumhaara ghar waalon, aulad aur khadimon par kharch karna bhi neki hai.
(Mustadarak ‘Alas Sahihain, Hadith No. 3073)
- Logon se aisa hi sulook karo jaisa tum apne liye pasand karte ho.
(Hazrath Imaam Gazali rahmatullah alaih)
- Zindagi Kabhi Aasaan Nahi Hoti,
Isse Aasaan Banana Padhta Hain,
Kuch Nazar Andaaz karke,
aur
Kuch Bardash karke!! - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Apne bhai se muskurakar milne aur achi baton ka hukum dene aur bure kamon se rokne ka sawaab sadqe ke barabar hai.
(Jame Tirmizi, hadith no:1956)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jannat me dakhil hone ke baad ek pukarne wala jannatiyou ko ye khushkhabri sunayega.
Tum hamesha zinda rahoge kabhi mout na aayegi,
Tum hamesha sehatmand rahoge kabhi bimaar na hoge,
Tum Hamesha jawan rahoge kabhi budhapa na aayega,
Tum Hamesha khushaal rahoge kabhi pareshani na aayegi.
(Sahih Muslim,hadith no:7336)