- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jannat me dakhil hone ke baad ek pukarne wala jannatiyon ko ye khushkhabri sunayega.
Tum hamesha zinda rahoge kabhi mout na aayegi,
Tum hamesha sehatmand rahoge kabhi bimaar na hoge,
Tum Hamesha jawan rahoge kabhi budhapa na aayega,
Tum Hamesha khushaal rahoge kabhi pareshani na aayegi.
(Sahih Muslim,hadith no:7336)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jab tak banda apne musalman bhai ki madad karta rehta hai ALLAH TAALA uski madad farmata hai.
(Sahih Muslim,hadith no:2699)
- Nafs par sab se zyada mushkil kaam shari’at aur neki par pabandi karna hai.
(Hazrath Imaam Rabbani mujaddide Alfe saani rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Mere paas ek farishte ne aakar arz kiya:
Aye paikare Hamd o Sana! ALLAH TAALA ne AAP par Salaam bhejha hai aur farmaya hai:
Main ne aapki sehzadi FATIMA ka Nikah Mala e Aala me ALI bin abi Talib se kardiya hai, pas AAP Zameen par bhi FATIMA (Raziallahu taala anha) ka Nikah ALI (Raziallahu taala anhu) se karden.
(Zakhair e uqba fi manaqibi zawil qurba,vol:1,pg:73)