- Tumhari niyyat ki azmaish us waqt hoti hai, jab tum aise insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Jis Bande ke dil me ALLAH TAALA Istighfaar karne ki toufeeq ataa farmate hain to maloom hota hai ke Rab e Kareem chahte hai ke uspar Azaab na kare.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu).
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Main Ilm ka shaher ho aur ALI uska Darwaza hai, lehaza Jo us shaher me dakhil hona chahta hai use chahye ke wo us Darwaze se Aaye.
(Mustadrak,hadith no:4637)
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
ALI (raziallahu taala anhu ) ka zikr bhi Ibadat hai.
(Dailami,hadith no:1351)
- ALLAH TAALA ki Raza ke liye Durood ka padhna gulam azaad karne se behtar hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath Ali raziallahu taala anhu se irshaad farmaya :
(Aye ALI ! ) Tum se Mohabbat karne wala Mujh se Mohabbat karne wala hai aur Tum se Bagz rakhne wala Mujh se Bugz rakhne wala hai.
(Al Moujamul Kabeer, hadith no:5973)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Yaqinan Jannat 3 logon ki mushtaq hai:
1) (Hazrath) ALI (raziallahu taala anhu)
2) (Hazrath Ammaar (raziallahu taala anhu)
3) (Hazrath ) SALMAN (raziallahu taala anhu)(Jame Tirmizi, hadith no:4166)