Jis inteqaal karne wale par Surah Yaseen padhi jati hai

Surah Yaseen
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jo ALLAH TAALA se Dua na mange, ALLAH TA’LA usse Naraz hota hai.

    (Sunan e Ibne Majah,hadith no:707)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jis inteqaal karne wale par Surah Yaseen padhi jati hai us par maamla asaan kardiya jata hai.

    (Kanzul Ummal)

  • Sab se zyada namaz ka sawaab us shakhs ko milega jo sab se zyada paidal chal kar aaye,

    Phir us se zyada sawaab us shakhs ko milega jo us se zyada dur se chal kar aaye.

    (Sahih Bukhari,hadith no:651)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Qayamat ke din har maaldar aur ghareeb aadmi ye tamanna karega ke kaash usko duniya me sirf guzara karne ki rozi dijati.

    (Sunan e Ibne Majah,hadith no:4140)

  • Jab koi kafer nek kaam karta hai to uska badla use dunya me hi dediya jata hai..

    lekin Momin ki nekiyan ALLAH TA’LA Akhirat ke liye mehfooz kardeta hai aur uski farmabardari par dunya me use Rizq ataa farmata hai..

    (Sahih Muslim,Hadith No:2808)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *