Jis ne “Subhanallaahil Azeem wa bihamdihi ” padha

Subhanallahil Azeem wa bihamdihi
  • ALLAH TA’LA Sabar karne wal’on ko pasand farmata hai, Banda taklif’on par sabar karke apne Rab ke bahut qareeb puhanch jata hai.
  • Jagah madine me wo aata ho, Ya rasoolallah aap ke rouze ka samna ho,, wahin pe marne ki arzo hai wahin ka humko gulam kehna!!Ameen
  • NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:Jis ne “Subhanallaahil Azeem wa bihamdihi ” padha uske liye jannat me khajoor ka darkhat lagaya jata hai.

    (Jame Tirmizi,Hadith No:3464)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak Musalman namaz padhta hai aur uske gunah uske sar par rakhe hue rehte hain pas jis waqt wo sajda karta hai to uske gunah jhadh jate hain aur jab wo namaz se farigh hota hai to uski halat aisi hojati hai ke uske tamaam gunah us se jhadh chuke hote hain.(Shubul Imaan,Hadith No:3144)
  • Mushkilon se ghabraya na karo kyun ke ye tumhe ALLAH ke qareeb lejati hai.
  • Apne tamaam maamlat ALLAH par chodh do kyun ke ALLAH behtaren badla dene wala hai.(Hazrath Syeduna Imaam Hasan raziallahu taala anhu)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Agar tum hamesha ba Wuzu rehne ki istea’at rakho to aisa hi karo kyunke Malakul Mout jis bande ki rooh Wuzu ki halat me qabz karte hain uske liye shahadat likh di jati hai.(Kanzul Ummal,Hadith no:26060)
  • Khushi insaan ko utna nahi sikhati jitna gham sikhata hai.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
  • [ Jo meri taraf ruju hua, uske raaste ki pairwi karo]Yane jo raah e Haq ki Hidayat na paaye to use chahye ke wo salihen Ekraam ke Naqshe Qadam par chale! Taake unki pairwi ki barkat use Raah e Haq tak phunchade,

    Kya Aap ne nahi dekha ke Salihen Ekraam ki pairwi ne Ashaab e Kahaf ke kutte ko kis qadar faida phunchaya! Yaha tak ke ALLAH TAALA ne kayi martaba us (kutte ka apne kalaam me ) bhalayi ke saath zikar farmaya.

    (Tafseer Al Tustari, Surah Luqmaan:15)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *