Jis shakhs ne ALLAH TAALA ki Mohabbat ko

Hazart Ali(RA)
  • Aye Insaan! Agar tumhe yeh maloom hojaye ke sajde ke daouran tum par kitni rehmaten nazil hoti hai to tum kabhi sajde se sar uthayouge hi nahi.
    (Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    Jis shakhs ne ALLAH TAALA ki Mohabbat ko apne nafs ki Mohabbat par tarjehdi (yane aage rakha), ALLAH TAALA use logou ki taklifou se mahfooz farmayega.
    (Kanzul Ummal,hadith no:43127)
  • Yaqinan ALLAH TAALA ne Imaan walou par bada Ehsaan farmaya ke unke darmiyan unhi me se ek azmath wale RASOOL ko bhaijha ,Jo un par uski Aayaten Tilawat farmate hain aur unhe paak karte hain, aur unhe kitaab wo hikmat ki taleem dete hain…
    (Surah Aale Imraan:164)
  • Gazwaye qaibar ke mauke par Hazrath Ali raziallaahu anhu ko aashobe chashm tha jiski wajeh se aapki aankhon me sakht takleef thi,
    HUZOOR E AKRAM Sallallaahu alaihi wasallam ne aapku talab farmaya aur aapki dono aankhon me luaabe dahane mubarak dale to aap aise shifa yaab hue jaise aapku kabhi takleef thi hi nahi.
    (Sahih bukhari,vol:2,pg no:602)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *