Jisne apne bacche ka naam MOHAMMED rakha

Muhammad (SAW)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jisne meri mohabbat ki khatir aur mere ism se barkat hasil karne ki niyyat se apne bacche ka naam MOHAMMED rakha to wo aur baccha dono JANNAT me dakhil honge.

(Ruhul Bayaan,Pg:184)

  • Ummul momineen hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha se riwayat hai ke NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath KHADIJAT UL KUBRA raziallahu taala anha ko Duniya me JANNAT ka Angoor Khilaya.(Al Miujamul Aousat ,hadith no :6277)
  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath KHADIJA Raziallahu taala anha ki zindagi me dusra nikah nahi farmaya.(Sahih Muslim , hadith no:2436)
  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e Aqdas me koi cheez pesh kijati to Aap sallallahu alaihi wasallam farmate:Isko flan khatoon ke ghar lejaou kyun ke ye KHADIJA ki Saheli hai ,isko flan khatoon ke ghar lejou kyin ke ye KHADIJA se Mohabbat rakhti thi .

    (Al Adab Al Mufrad , hadith no:232)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :Apne Zamane ki sab se behteren Aourat Maryam (alaihissalaam ) hain, aur (isi tarah ) Apne Zamane ki Sab se Behteren Aourat KHADIJA (raziallahu taala anha ) hain.

    (Sahih Bukhari ,hadith no:3604)

  • Ek shakhs ne Baargah e Nabawi me hazir hokar Arz kiya :YA RASOOLALLAH ! Sallallahu alaihi wasallam : meri aankhen Dukhti hain kya main roze ki halat me surma laga sakta hu ?

    Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : Haan. (Lagasakte ho).
    (Jame Tirmizi , Hadith no :726)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *