- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam se arź kiya gaya :
Aapko apne Ahle Bait me se sab se zyada kaun mahboob hain ?HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya :
HASAN AUR HUSAIN AUR Aap Sallallahu alaihi wasallam Hazrath Syeda Fatima raziallahu taala anha se farmaya karte the :Mere Shehzadon ko bulao phir Aap sallallahu alaihi wasallam unhe chumte aur unhe apne saath lipta lete.
(Jame Tirmizi , Hadith no :3772)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Jisne HASAN AUR HUSAIN Raziallahu taala anhuma se Mohabbat ki , usne dar haqiqat mujh hi se Mohabbat ki aur Jisne HASAN AUR HUSAIN Raziallahu taala anhuma se Bugz rakha usne Mujh hi se Bugz rakha.
(Sunan e Ibne Majah ; Hadith no :143)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne HASAN raziallahu taala anhu aur HUSAIN raziallahu taala anhu ki taraf dekh kar (baargah e Ilaahi me ) Arz kiya :Aye ALLAH ! Main inse Mohabbat karta ho to bhi inse Mohabbat farma.
(Jame Tirmizi , hadith no :3782)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne HASNAIN KARIMAIN raziallahu taala anhuma se mutaliq irshaad farmaya :Ye dono mere shehzade hain aur meri Shehzadi ke Shehzade hain , Aye ALLAH ! Main in dono se Mohabbat karta ho , To bhi in dono se Mohabbat farma , aur jo shakhs inse Mohabbat rakhe usko apna mahboob banale.
(Jame Tirmizi ,Hadith no :4138)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :Jisne Mujh se Mohabbat ki , uspar Lazim hai wo in dono (yane Hasan aur Husain raziallahu taala anhuma ) se bhi Mohabbat kare.
(Sunan e Nasai , hadith no :8170)