- Jo Quraan padhe aur apne rab taala ki tareef ki aur NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood padhe aur apne rab se maghfirat talab ki to usne khair ko uski jagah se talash karliya.(Baihaqi shubul Imaan)
- Acha insaan wo hai jo kisi ki di hui takleef ko bhul jaye magar kisi ki di hui mohabbat ko kabhi na bhule.
- Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain:Koi kasturi kabhi koi atar aisa nahi sungha jo HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke Pasine mubarak se zyada khushboo daar ho.
(Shamail e Tirmizi)
- Yaqinan ! ALLAH ke Doston par na koi khauf hai aur na wo Ghamzada honge.(Surah Yunus:62)
- Eteqaad durst karna wajib hai kyun ke ye eteqaad wahi asal me bunyaad hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani Rahmatullah Alaih)
- Namaz se namazi ke dil me noor paida hojata hai, to tumhare ikhtiyaar me hai ke namaz ki pabandi se apne dil me noor paida karle..(Sunan e Dailami)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo shakhs Meri is Masjid me is garz se aaye ke Neki karega, Neki sikhega ya sikhayega, to uska martaba itna baland hoga jitna ke Raah e Khuda me jihaad karne wale ka martaba hota hai.
(Sunan e Ibne Majah)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jisne Subah (yane fajar ) ki namaz adaa ki wo ALLAH TAALA ki Hifazat me hai.
(Sahih Muslim,hadith no:1493)
- ALLAH TAALA apne bandon ko unke Imaan ke mutabiq musibaton me daalta hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader jilaani raziallahu taala anhu)