Jo ALLAH ki aur uske RASOOL ﷺ ki ita’at karte hain

Hadith

Hazrath sayeed bin jubair raziallahu taala anhu ne farmaya:

Ansaar me se ek Ghamgeen sahabi HUZOOR ﷺ ki baargah me hazir hue,

HUZOOR ﷺ ne unse farmaya:
Aye falan kya wajeh hai ke Main tumhe ghamgeen dekh raha ho ?i love Allah and Prophet Muhammad Sallallahu alaihi wasallam

Unho ne arz kiya:
Aye ALLAH KE NABI! Sallallahu alaihi wasallam mai pareshan ho ek baat par,

HUZOOR ﷺ ne irshaad farmaya:
Kya baat hai?

Aap ne arz kiya:

YA RASOOLALLAH! ﷺ Aaj hum subah wo shaam jis waqt tabyat udaas hojati hai aapke didaar se apni piyaas bujha lete hain, kal jab Aap ambiya ke saath jannat me hunge hum aapki ziyarat se mahroom hojainge is par hazrath jibreel alaihissalaam ye aayat lekar nazil hue:

 Aur jo ALLAH ki aur uske RASOOL ﷺ ki ita’at karte hain to yehi log unke saath honge jin par ALLAH ne (apna khaas) inaam farmaya hai, Ambiya, Siddiqen, Shuhada aur dusre neik bande aur ye log kaise ache saathi hai, kaise hamdard rafeeq hain.(surah Al Nisa:69)  

(Tafseer e Ibne Kaseer,vol:1,pg:522)

Hadith

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *