- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Qayamat ke din har maaldar aur ghareeb aadmi ye tamanna karega ke kaash usko duniya me sirf guzara karne ki rozi dijati.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:4140)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo ALLAH TAALA se Dua na mange, ALLAH TAALA usse Naraz hota hai.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:707)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Mujhe sab se zyada pasand wo baat hai jo sab se zyada sacchi ho.
(Sahih Bukhari, Hadees no:2142)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
3 logon ki DUA ALLAH TAALA kabhi rad nahi farmata;
1) ALLAH ka kasrat se zikr karne walou ki Dua
2) Mazloom ki Dua
3) Aadil Imaam ki Dua..(Baihaqi ,Shubul Imaan,Hadith No:6973)