- Jo Banda bhi Raat ko ba Wazu soye phir Raat me Achanak uski Aankh khule to us waqt wo Dunya ya Aakhirat ki jo cheez bhi maangega ALLAH TA’LA use zaroor Ataa farmayege.”(Sunan e Ibne Maajah,Hadith No:3881)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:HASAN (raziallahu taala anhu) aur HUSAIN (raziallahu taala anhu) meri duniya ke do phool hain.
(Jame TIrmizi)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Yaqinan Musalman banda Namaz sirf isliye padhta hai ke ALLAH TA’LA Razi Hojaye to usse Gunah Istarah Jhadte hai Jaisa ke Is Darakht se ye Patte jahdte hai.
(Musnad Imaam e Ahmed,hadith no:22177)
- Wo Gunah jiska tumhe afsoos ho, ALLAH TA’LA ke nazdeek us neki se behtar hai jis se tum me guroor paida hojaye..Aur Hum ne Aapko Tamaam jahanou ke liye RAHMAT banakar hi bhejha hain.
(Surah Al Ambiya:107)
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)