السلام عليكم ورحمة الله تعالى وبركاته وصلى الله على سيدنا محمد وعلى آله وأصحابه
اللهم صل على سيدنا محمد وعلى آل سيدنا محمد وبارك وسلم
Jo banda (kisi ko) maaf kar deta hai, Allah us ke badle us ki izzat badha deta hai.
(Muslim : 6757)
Apne fursat ke waqt ki qadr karo, mashgooli aane se pehle.
(Mustadrak : 7846)
Beshak Allah Ta’ala insaaf ka aur ehsaan karne ka aur rishtedaaron ko (un ke huqooq) dene ka hukm deta hai.
(Sura-e-Nahl : 90)
Jis shakhs ne naabeena (Andhe) ki 40 qadam tak rehbari ki to us ke liye Jannat waajib ho gayi.
(Tabraani Kabeer: 13322)
Jo apne bhaai ki zaroorat poori karega, Allah Ta’ala us ki zaroorat poori karega.
(Bukhaari : 2442)
Salaam mein pahel karne waala takabbur se paak hai.
(Shoabul Imaan: 8786)
Aur Allah behayaai, buraai aur zulm se rokta hai, woh tumhein naseehat karta hai taake tum naseehat qubool karo.
(Sura-e-Nahl: 90)