Jo fajar ki namaz padhta hai wo shaam tak Allah taala ki hifazat me rehta hai

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Momin ko is shaan par khush hona chahye ke uske har haal me khair hai, aur ye maqaam iske alawa kisi ko hasil nahi,

Agar wo nematon ke milne par shukar kare to use sawaab milta hai aur agar wo musibat aane par sabar kare tab bhi use sawaab milta hai.

(Sahih Muslim,hadith no:2999)

  • ALLAH TAALA ne apni ita’at karne walon ko marne ke baad bhi zinda rakha hai.

    (Hazrath shaqeeq balqi rahmatullah alaih)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jo subah ki(yane fajar ki) namaz padhta hai wo shaam tak Allah taala ki hifazat me rehta hai.

    (Al Moujamul kabeer,pg:240)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *