- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Main ne Jibreel Ameen se daryaft kiya kaunsa amal ALLAH TAALA ke nazdeek pasandida hai, Hazrath Jibreel Ameen Alaihissalaam ne arz kiya: Aye Paikar e Hamd o Sana! Aap par Durood padhna aur Ali bin Abu Talib ki Mohabbat.
(Musnad ul Firdoos)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Apni majlison ko Mujh par Durood padhne ke saath zinat do, Mujh par tumhara Durood padhna Tumhare liye Qayamat ke din Noor hoga.
(Sunan e Dailami)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo Juma ke din ya raat me Surah “Haa meem Dukhan” padhega, ALLAH TAALA Jannat me uske liye ek ghar banayega.
(Al Moujamul Kabeer,hadith no:8026)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Apne musalman bhai ki musibat par khushi ka izhaar na karo, warna ALLAH TAALA us par Reham farmayega aur tumhe usme mubtala kardega.
(Jame Tirmizi,hadith no:402)