Jo Juma ke din ya raat me Surah “Haa meem Dukhan” padhega

Surah e Ad-Dukhan
  • Jisne Saliheen Buzrugane deen ka zikar suna uske dil me ALLAH ki Mohabbat zyada hote jati hai aur Ita’at me zyadati hoti hai.(Hazrath Nizamuddin Awliya rahmatullah alaih)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab koi qoum ALLAH TAALA ke Zikr ke liye baithti hai, to farishte unko gher lete hain, Aur Rehmat unko dhaanp leti hai, aur ALLAH TAALA Farishtou ke saamne unka zikar farmata hai.

    (Sahih Muslim,hadith no:6855)

  • Mout ki saqti Dunya aur aakhirat ki saqti se bahut zyada khoufnaak hai.(Hazrath shadaad bin uoos Rahmatullah Alaih)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Mashriq wo Maghrib me jo Musalman bhi Mujh par Salaam bhaijhta hai Main aur Mere RAB ke Farishte uske bhaijhe hue salaam ka jawaab dete hain.

    (Hilyatul Aouliya,pg:349)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Qayamat ke din mere sab se zyada qareeb wo honge jo kasrat se mujh par Durood o Salaam pesh karte hain.

    (Jame Tirmizi,vol:1,pg:110)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo Juma ke din ya raat me Surah “Haa meem Dukhan” padhega, ALLAH TAALA Jannat me uske liye ek ghar banayega.

    (Al Moujamul Kabeer,hadith no:8026)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *